tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
tujhey aaj yu udas dekh ke,
kuch chhai hai udasi yu mere mann mai;
lagta hai jaise kuch kho gaya hai jeevan mai:
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
tu roti hai kyon, ye jan le tu meri jaan hai;
tu mane ya na mane mera toh tujhse hi jahan hai:
jab udasi mein, teri palakein chalak jaati hai
meri jaan tujhey nahi pata meri ruh tadap jaati hai.
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
maine dekha nahi, tujhey kabhi yu rote hooye;
har aansu mai kuch naya khote hooye:
kya gam hai tujhey, kyu mujhey nahi batati;
chahta hoon mai tujhey, kyu ye baat nahi samajh paati:
na chupa mujhse tu koi gam...
na darr, mai banunga tera hamkadam.
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
meri baaahein tujhey sametne ka intzaar karti hai,
par tu toh meri hone se hi inkaar karti hai.
mai janta hoon, mai janta hoon; tu kisi aur se pyar karti hai;
par teri ye bujhi aankhein kuch aur hi izhaar karti hai:
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
tune mujhey samjha nahi iska mujhey gam nahi;
par ye jan le mujhse bada tera koi sanam nahi:
mai tera ab bhi yahan intzaar karta hoon,
kaise bataon tujhe ki tujhse kitna pyar karta hoon.
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon:
phoolo se zyada nazook, patto se zyada komal hai tu...
mere dil mai basi har meethi khushboo hai tu.
"mai tujhse behad pyar karta hoon"
par ye baat lafzo mein bayaan kaise karun?
bas tu itna batade, kya mai tere layak nahi hun?
tere aansuon ki keemat mai janta hoon;
tu roti hai kyon, mai tujhey apna manta hoon
Friday, February 26, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)